Pakistani Drama OST

Pakistani dramas have some of the best music . More than films, more than mainstream music, these OSTs are some of the most listened .

Showing posts with label Alyy Khan. Show all posts

Friday, July 5, 2019

OST Kabhi Kabhi Lyrics ary digital 2013 drama…!!!

No comments :


OST Kabhi Kabhi Lyrics ary digital 2013 drama…!!!
Kabhi kabhi wafa mili
Kabhi kabhi ke piyar mein
Wo chand se jo khawab the
Kiun kho gaye ghubar mein

Wo piyar ki haseen raat
Raat bhar mein kaat-ti 

Mujhe to yaad bhi nahi
Ke umer bhar ki baat thi

Wo sard bhar gaya koi
Tere aankh ke khumar mein

Kabhi kabhi wafa mili
Kabhi kabhi ke piyar mein
Wo chand se jo khawab the
Kiun kho gaye ghubar mein…!!!

Monday, November 19, 2018

Kaneez OST Songs Lyrics A Plus

No comments :

Kaneez OST Songs Lyrics A Plus


OST. Kaneez
Singer. Sanam Marwi
Composer. Naveed  Wajid
Lyrics. Parvez Kaleem
Channel  A Plus

Mujhy phir sy koi naya khawab dy
Sawal hon tujh py tu jawab dy
Apni kahani dil mein chupai
Shikwa gila koi lab py na laayi

Aankhon mein yaadon ki
Aankhon mein yaadon ki
Yaadon ki baarat lay kar
Tery kaneez tery dar py hai aaye

[Background Music]
Mera sahib murshad kamil tu
Mery rom rom mein shamil tu
Sayyaan ji
Sayyaan ji
Sayyaan ji

Maino heer na aakhy koi
Main taan ranjha ranjha hoi

Zehar mein doobi judai sahi hai
Meri zuban to chup hi rahi hai
Ansoun ka paani ya dabo diya hai
Mery saath kesi ye ankahi hai
Mujhy phir sy koi naya khawab dy
Sawal hon tujh py tu jawab dy

Mery sabar ko na or aazmao
Beti hon teri galy to lagao
Ghut ghut ky kab tak main jeeti rahon gi
Seeny py apny kabhi to sulao
Aankhon mein yaadon ki baarat ly kar
Tery kaneez tery dar py hai aaye

[Background Music]
Mera sahib murshad kamil tu
Mery rom rom mein shamil tu…!!!