Pakistani Drama OST

Pakistani dramas have some of the best music . More than films, more than mainstream music, these OSTs are some of the most listened .

Showing posts with label Fahad Mustafa. Show all posts

Friday, April 12, 2019

Mere humrahi ost ary digital ost lyrics

No comments :
Ek dil, ek jaan, ek thi jindagi
Dhadkane jaagti, khwaishe jaagti

Vo junoon tha mera
Vo sukoon tha mera
Dekhte dekhte jo hua ajnabi

Majburi kaisi thi
Kya jaldi aisi thi
Mere humrahi ......
Mere humrahi ......

Na hawaaye chui na hi koi patta hila
Na hi chaha use jo mujhe hai mila
Dono ha kya haal kisi ne dekha nahi
Fir bhi mujhko nahi hai kisi se gilaa

Kyu aisa lagta hai
Ye sara dhokha hai
Mere humrahi......
Mere humrahi.....

Kis tarah koi aankh uthaa ke jiye
Ik nadamat to hai umr bhar ke liye
Jo hua so hua
dil kahe bhul ja
Jo bhi vaade kiye
Jo bhi dhokhe diye
galti ko maanu mai
Dukh tera jaanu mai

Mere humrahi .......
Mere hum rahi.......

Galti ko maanu mai
dukh tera jaanu mai

Mere humrahi.........
Mere humrahi..........

Ek dil, ek jaan, ek thi jindagi
Dhadkane jaagti, khwaishe jaagti

Vo junoon tha mera
Vo sukoon tha mera
Dekhte dekhte jo hua ajnabi

Majburi kaisi thi
Kya jaldi aisi thi
Mere humrahi ......

Mere  humraaahi.......

Friday, December 14, 2018

Mastana Maahi OST Lyrics Hum Tv

No comments :



OST: Mastana Maahi
Directed by: Roomi Insha
Written by: Samira Fazal
Channel: Hum TV
Year: 2011

Song Title: Palkain Kiyun Nam
Singer(s): Sohail Haider
Music by: Sohail Haider




palkain kiyun nam huwi’n
saansain bhi tham gai’n
kahin khushiyaan hain kho gai’n
haseen honton se kho gai’n
judaai ke aansu reh gaey bas yahin
palkain kiyun nam huwi’n
saansain bhi tham gai’n

ek haseen raat mein mujh ko woh
pari chehra mila tha jo mere khawaabon mein tha basa
juda horahi thi mujh se
khafa horahi thi aur main
khara dekhta hans raha
usay jaana tha door hi
main us ki manzil tha nahi
bas un lamhon ko soch kar aaj phir
palkain kiyun nam huwi’n
saansain bhi tham gai’n

zindagi saamne aai to
na lab khol paaya, na main usay keh saka jo dil mein tha
us ki masoom aankhon mein jo
basa pyaar tha mere liye
usay naam kya deta bhala
main tha hairaan yun hogaya
usay samjhaaon kis tarah
phir un yaadon mein doob kar aaj bhi
palkain kiyun nam huwi’n
saansain bhi tham gai’n

bekhabar thay zamaane se ham
tumhain jaana to pechaana, ham kitne anjaan thay jee rahe
tum ne bhi to sameta ham ko
bikhar jaate warna doob kar
kahin raahon mein kho jaate ham
woh anjaana sa waqt tha
tumhaare mere darmayaaan
bana tha ek pal keliye, soch kar
palkain kiyun nam huwi’n
saansain bhi tham gai’n