Pakistani Drama OST

Pakistani dramas have some of the best music . More than films, more than mainstream music, these OSTs are some of the most listened .

Showing posts with label Shagufta Ejaz. Show all posts

Sunday, November 18, 2018

Hari Hari Churian OST Lyrics By Rahat Fateh Ali Khan | Har Pal Geo

No comments :
pakistanidramalyrics.blogspot.com
hari hari churiyaa  har pal geo tv ost lyrics
Hari Hari Churian OST Lyrics By Rahat Fateh Ali Khan | Har Pal Geo



OST: Hari Hari Churiyan
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Channel: Har Pal Geo



Hari Hari Churian OST Lyrics

Ishq kia hai paas ho ke bhi door door rehna
Zindagi hai dhoop chhaun ke darmiyan
Ham yahin hain kahin
Tu jahan mein wahin
Har jagha har jagha
Dil hain do bhi to kia dharkanein aik hain
Sun zara ye sada

Hathon ke paron mein rang dekh abhi tak hai taza
Wo titliyan dil ke har koney mein
Raat aur din gungunaye
Teri churiyan
Hari hari churiyan
Hari hari churiyan

Sham ki surmayi shaal aurhe huye
Yaad ki khirkiyan baal khole huye
Teri raahon mein aankhein bichaye huye
Hijar ki raagni wasal ki hai chandni mein royi
Meri kehkasahn kon jaane kahan kis gali ke mor pe tooti
Hari churiyan
Hari hari churiyan
Hari hari churiyan

Aik pathar ko mein moum kaise karon
Shaq mein doobe huye dil mein kaise jiyon
Such ki sachai mein lafz kaise bharon
Kis kadar akeli hoon chand hai na koi sitara
Khaali aasman..
Dodhiya kalayi mein
Bondhi ho ke reh gayi
Meri chooriyan
Hari hari chooriyan
Hari hari chooriyan...

Mere Qatil Mere Dildaar OST Lyrics

No comments :
mere qatil mere dildaar pakistanidramalyrics.blogspot.com
mere qatil mere dildaar HUM Tv ost lyrics


Mere Qatil Mere Dildaar

Paas Raho
Mere Paas Raho
Tum Mere Paas Raho


Subaho Ki Pehli Kiran Jab
Teri Palkay Choo Le,
Adh Kili Kaliyon Pe Jaise
Koi Titli Jhuley,
Chahe Tum Mujhko Sawaro
Chahe Barbad Karo,
Bhool Jayo Mujhe Tum Ya K
Mujhe Yaad Karo,


Mere Qatil Mere Dildar
Mere Paas Raho....


Mere Qatil Mere Dildar
Mere Paas Raho...


Tum Pe Ilzaam Hai Jana
Meri Ruswai Ka
Paas Ho Phir Bhi
Yeh Ehsaas Hai Tanhai Ka
Yeh Toh Anmol Hai Tohfa
Mere Harjai Ka
Karo Iqraar Ke Inkaar
Mere Paas Raho....


Mere Qatil Mere Dildar
Mere Paas Raho....


Mere Qatil Mere Dildar
Mere Paas Raho....


Mujhe Khayal Kar De
Mujhe Pagal Kar De,
Chahe Bechain Mujhe
Chahe Bekar Karde,
Mujhe Jeena Hai
Toh Marna Ke Liye Jeena Hai,
Ab Toh Hai Maut Ka Israar
Mere Paas Raho......


Mere Qatil Mere Dildar
Mere Paas Raho....


Mere Qatil Mere Dildar
Mere Paas Raho.....
Mere Qatil Mere Dildar
Mere Paas Raho.....