Monday, January 6, 2020
Aatish Lyrics - Coke Studio Pakistan - Season 11 (2018)
Aatish Lyrics - Coke Studio Pakistan - Season 11 (2018)
Movie/album: Coke Studio Pakistan - Season 11 (2018)
Singers: Aima Baig, Shuja Haider
Song Lyricists: Shuja Haider
Music Composer: Shuja Haider
Music Director: Ali Hamza, Zohaib Kazi
Genres: Love
Music Label: Coke Studio Pakistan, Pakistani Music
Starring: Ali Sethi, Humaira Arshad, Gul Panra, Rachel Viccaji, Asim Azhar, Asrar, Abrar-ul-Haq, Aima Baig, Abida Parveen, Shuja Haider, Sahir Ali Bagga, Momina Mustehsan, Ali Azmat, Attaullah Khan Esakhelvi, Sanwal Esakhelvi, Hasan Jahangir, Young Desi, Lucky and Naghma, Haniya Aslam, Ahad Raza Mir, Natasha Baig, Zarsanga, Sounds of Kolachi, Chand Tara Orchestra, Mughal-E-Funk, The Sketches, Khumariyaan, Jimmy Khan, L.U.G, Fareed Ayaz and Abu Muhammad, Krewella, Ariana and Amrina, Mishal Khawaja, Bloach Throat Musicians, Shamu Bai, Vishnu, Riaz Qadri, Ghulam Qadri, Bilal Khan, Jawad Ahmad, Elizabeth Rai
Release on: 10th August, 2018
Aatish Song Lyrics
(No Ratings Yet)
Sitam kiye, bohat kiye
Kis kis ko samjhaaun?
Yeh kaam ki nakamiyan
Aao tujhe batlaaun
Ishq hansaye ishq rulaye
Kabhi de pankhadiyan
Kabhi laa giraye
Yeh naam ki badnamiyan
Yeh kaam ki nakaamiyan
Yeh nazar ka dhokha..
Yeh dilon ka sauda..
Aatish mohabbat ka ye garm jhonka
Tu janay na…
Ho..
Tujhe khabar nahi
Yeh aag aisi hai
Jo tod deti dil
Yeh baat aisi hai
Tu jagta rahe
Yeh raat aisi hai
Awaargi aye dost
Soghaat aisi hai
Suno, ek baat kahoon…
Nagar nagar guzar gaye
Par na mila thikana
Hai shayaron ne sach kaha
Ishq hai uljha afsana
Itraate hain murjhate hain
Gham khushiyon mein ghul jaate hain
Faraz ki likhaiyan
Yeh Mir ki duhaiyaan
John ki udaasi
Josh ka tarana
Aatish mohabbat ka yeh garm jhonka
Tu janay na
Tujhe khabar nahi
Yeh aag aisi hai
Jo tod deti dil
Yeh baat aisi hai
Tu jagta rahe
Yeh raat aisi hai
Awaargi aye dost
Soghaat aisi hai
Dhola teriyan udeekan kyun laayian
Rogi keeta hai dil mera sayaan
Jogi kyun hai tu itna bechara
Kyun mangta hai kamzor baahon ka sahara
Mann bhar jaave
Yaar chhod jaave
Dar jate ho tum
Galliyan chobare
Majnoon pukare
Thak jaate ho tum
Bhari javani mein ankh kar gaya hai teri nam
Bewajah ke jholion mein de gaya hai gham
Yeh Heer ki manmarziaan
Yeh Faiz ki hain arziyaan
Yeh nazar ka dhokha
Yeh dilon ka sauda
Aatish mohabbat ka yeh garm jhonka
Tu jaane na
Tujhe khabar nahi
Yeh aag aisi hai
Jo tod deti dil
Yeh baat aisi hai
Tu jagta rahe
Yeh raat aisi hai
Awargi aye dost
Soghat aisi hai
Tujhe khabar nahi
Yeh aag aisi hai
Jo tod deti dil
Yeh baat aisi hai
Tu jagta rahe
Yeh raat aisi hai
Awargi aye dost
Soghat aisi hai.
No comments :
Post a Comment