Pakistani dramas have some of the best music . More than films, more than mainstream music, these OSTs are some of the most listened .

Monday, January 6, 2020

Allahu Akbar Lyrics - Coke Studio Pakistan - Season 10 (2017)

No comments :



Movie/album: Coke Studio Pakistan - Season 10 (2017)

Singers: Ahmed Jehanzeb, Shafqat Amanat Ali Khan

Song Lyricists: Shuja Haider

Music Composer: Shuja Haider

Music Director: Shuja Haider

Genres: Religious, Sufi

Director: The Coca-Cola Company

Music Label: Coke Studio

Starring: Ali Sethi, Aima Baig, Danyal Zafar, Ali Zafar, Rahat Fateh Ali Khan, Jabar Abbas, Syed Raza Jan Raxa Raju, Momina Mustehsan, Waqar Ehsin, Attaullah Khan Esakhelvi, Sanwal Khan Esakhelvi, Qurat-ul-Ain Balouch, Sahir Ali Bagga, Hina Nasrullah, Ali Hamza (Noori), Nabeel Shaukat Ali, Faraz Anwar, Faiza Mujahid, Ahmed Jahanzeb, Zaw Ali, Sajjad Ali, Nirmal Roy, Umair Jaswal, Farhan Saeed, Akbar Ali, Rachel Viccaji, Shuja Haider, Jaffer Zaidi, Humaira Channa, Mekaal Hasan, Salman Ahmad, Shani Arshad, Arieb Azhar, Ali Noor Noori, Irteassh, Humera Arshad, Kaavish, Amanat Ali, Natasha Khan, Javed Bashir, Shafqat Amanat Ali, Strings

Release on: 11th August, 2017


Allahu Akbar Song Lyrics


Ya kareem o ya ghaffaar o raheem o azeem o sari ur-raza
Us pe hi raazi rahoon jo kiya tu ne mujh ko ata
Ya kareem o ya ghaffaar o raheem o azeem o sari ur-raza
Us pih hi raazi rahoon jo kiya tu ne mujh ko ata

Yeh jo nadaamat ki maala hai mere gale men padi
Tasbeeh isko bana de ilaahi
Tasbeeh isko bana de ilaahi
Tasbeeh isko bana de ilaahi



Allaahumma inni asaluka birahmatika
Ya zul-jalaal
Apne kiye pe jhukaaye hoon sar
Dil mein ranj-o-malaal
Tu jo sune na
Sunaaunga kisko yeh faryaad main
Tu hi sami ul-baseer ul-mujeeb
Tu hi sami ul-baseer ul-mujeeb
Tu hi sami ul-baseer ul-mujeeb

Rabb-i azaan-i bilaali bhi tu
Arham bhi tu aur jalaali bhi tu
Kun fayakun ka bhi khaaliq hai tu
Tu rabb-i mustafa
Allaahu akbar
Tu rabb-i murtaza
Allaahu akbar
Rabb-i siraat-i mustaqeem
Allaahu akbar
Tu rabb-i kaabah
Allaahu akbar
Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauz-i nadaamat mein dooba hua hoon



Ya raheem
Kar de tu mujh ko qurbat ata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata
Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon

Daryai aatish mein hum bas yoonhi jal jaaenge
Gar tu sahaara bane, ya rabb sambhal jaaenge

Tu hi to woh raushani hai ki jis se main ghaafil huwa
Jaane anjaane gunaahon se kuchh bhi nah haasil huwa

Ho teri nazr-e-karam to yeh mushkil bhi tal jaayegi
Tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem
Tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem

Rabb-i deewaar-i zul-qarnain tu
Rabb-i mairaaj-i kaunain tu
Rabb-i ismaaeel o zam-zam bhi tu
Tu rabb-i ibraaheem
Allaahu akbar
Tu rabb-i jibraaeel
Allaahu akbar
Rabb-i malaaika
Allaahu akbar
Tu rabb-i kausar
Allaahu akbar
Apne ghulaamon ki de ghulaami
Ya mutakabbir ya mughni ya mughni



Roz-i hashr ka andaazah naheen
Bakhshish ka saamaan laaya naheen
Hai meri iltija, kar de qurbat ata
Karde rahm o karam, miskeen hai tere dar pe khada

Mere iraade jo toote to mujh ko pata yeh chala
Teri hukoomat mein hoga wahi bas jo tune kaha
Apne habeeb ke sadqe sun le meri yeh dua
Tu hi muqeet ul-haseeb ul-jaleel

Rabb-i zarb-i haidar o hamzah bhi tu
Rabb-i asa-i moosa bhi tu
Tu ru-ba-ru bhi aur hai ku-ba-ku
Tu rabb-i eesa
Allaahu akbar
Tu rabb-i maryam
Allaahu akbar
Rabb-i sahaabah
Allaahu akbar
Tu rabb-i panj-tan
Allaahu akbar
Nooh ki kashti ko dekhta hoon
Hauz-i nadaamat men dooba hua hoon

Ya raheem, ya kareem
Ya raheem, ya kareem
Ya raheem
Kar de tu mujh ko qurbat ata
Ya kareem
Dar-guzar kar de meri khata
Ya raheem
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Ya kareem
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat ata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon
Kar de tu mujh ko qurbat ata
Dar-guzar kar de meri khata
Rahmat ka teri talab-gaar hoon
Bandah main tera gunaah-gaar hoon..


No comments :

Post a Comment