Immunotherapy drug pembrolizumab improves outcomes for patients with soft
tissue sarcoma
-
Addition of the immunotherapy drug pembrolizumab to standard of care for
patients with advanced soft tissue sarcoma of the limb significantly
improved dise...
Friday, June 28, 2019
Dasht-E-Tanhai (Episode 5) Lyrics - Coke Studio Pakistan – Season 5 (2012)
Dasht-E-Tanhai (Episode 5) Lyrics - Coke Studio Pakistan – Season 5 (2012)
Movie/album: Coke Studio Pakistan – Season 5 (2012)
Singers: Meesha Shafi
Song Lyricists: N/A
Music Composer: N/A
Music Director: N/A
Release on: 13th May, 2012
Dasht-E-Tanhai (Episode 5) Song Lyrics
Dasht-e-tanhai men
Ay jaan-i jahaan larzaan hain
Dasht-e-tanhai men
Ay jaan-i jahaan larzaan hain
Teri aawaaz ke saaye
Tere honton ke saraab
Dasht-e-tanhai men
Doori ke khas o khaak tale
Khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulaab
Dasht-e-tanhai men
Ay jaan-i jahaan larzaan hain
Teri aawaaz ke saaye
Tere honton ke saraab
Dasht-e-tanhai men
Doori ke khas o khaak tale
Khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulaab
Uth rahi hai kaheen qurbat se teri saans ki aanch
Uth rahi hai kaheen qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushbu men sulagti hui maddham maddham
Door ufuq paar chamakti hui qatrah qatrah
Gir rahi hai teri dil-daar nazar ki shabnam
Is qadar pyaar se ay jaan-i jahaan rakkha hai
Is qadar pyaar se ay jaan-i jahaan rakkha hai
Dil ke rukhsaar pih is waqt teri yaad ne haath
Yoon gumaan hota hai garchih hai abhi subh-i firaaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gayi wasl ki raat
Dasht-e-tanhai men
Ay jaan-i jahaan larzaan hain
Teri aawaaz ke saaye
Tere honton ke saraab
Dasht-e-tanhai men
Doori ke khas o khaak tale
Khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulaab.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment