ULA wants to upgrade Vulcan Centaur rocket into a 'space interceptor' to
defend satellites
-
United Launch Alliance (ULA) says its new, powerful Vulcan Centaur upper
stage rocket could play a key role in defending satellites from potential
threats ...
Sunday, June 30, 2019
Rung (Episode 4) Lyrics - Coke Studio Pakistan – Season 5 (2012)
Rung (Episode 4) Lyrics - Coke Studio Pakistan – Season 5 (2012)
Movie/album: Coke Studio Pakistan – Season 5 (2012)
Singers: Abu Mohammad, Fareed Ayaz
Song Lyricists: N/A
Music Composer: N/A
Music Director: N/A
Release on: 13th May, 2012
Rung (Episode 4) Song Lyrics
Raini charhi
Raini charhi rasool ki
So rung maula ke haath
Raini charhi
Kya baat hai
Raini charhi rasool ki
So rung maula ke haath
Raini
Raini
Raini
Raini charhi
Rasool ki
Kya baat hai
Aur rung maula ke haath
Jis ki chunar
Jis ki chunar rung diyo
So dhan dhan wa ke bhaag
Aaj rung hai e maan rung hai ri
Aaj rung hai e maan rung hai ri
Chalo ri
Aaj rung hai e maan rung hai ri
Are sab mil chalo ri
Aaj rung hai e maan rung hai ri
Are e ri mere mahboob ke ghar
Ari e ri sakhi ri
Mere mahboob ke
Ho mere mahboob ke ghar
Mere mahboob ke ghar
Ari e ri sakhi ri mere mahboob ke ghar
Mere mahboob ke ghar
Mere mahboob ke ghar rung hai ri
Aaj rung hai e maan rung hai ri
Aaj rung hai e maan
Rung hai e maan
Aaj rung hai e maan
Sibghat-ullah
Allah ka rung
Rung to faqat allah ka rung hai
Aaj rung hai e maan
E maan rung hai ri
Aaj rung hai e maan
Aahe chalo ri
Aaj rung hai e maan
Aahe chalo ri
Aaj rung hai e maan
Aaj
Aaj
Aaj
Chalo
Jis ki choonar rung de saajan
Jis ki choonar rung de sajan woh raani kahlaae
Aaj rung hai e maan
Aahe chalo ri
Aaj rung hai e maan
Rung hai ri
Mere mahboob ke ghar
E ri sakhi ri mere mahboob
Are haan haan mere mahboob ke ghar
Mere mahboob ke ghar rung hai ri
Mere mahboob ke ghar rung hai ri
Mere mahboob ke ghar
Mere mahboob ke
Mere mahboob ke ghar
Ilaahi ta buwad
Ilaahi ta buwad
Khursheed o maahi
Ilaahi
Ilaahi
Ilaahi ta buwad
Khursheed o maahi
Charaaghi chishtiyaan ra raushanaai
Aaj rung hai e maan rung hai ri
Mere mahboob ke ghar
E ri sakhi ri mere mahboob ke ghar rung hai ri
Sajan milaawara anat badhaawara
Chalo ri mera mahboob milaawara
Aahe chalo ri mera mahboob milaawara
Sajan milaawara more aangan
Aaj rung hai
Aji mohe peer paayo
Mohe peer paayo
Mohe peer paayo
Nijaam-ud-din auliya
Mohe peer paayo
Aahe aahe aahe wa
Mohe peer paayo
Nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Mahboob nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Khaaja nijaam-ud-din auliya
Khaaja nijaam-ud-din auliya
Khaaja nijaam-ud-din auliya
Khaaja nijaam-ud-din auliya
Kisi mahboob ki un se siwa kya dil rubaai ho
Kih woh
Kih woh mahboob hain aise kih mahboobi ilaahi ho
Khaaja nijaam ud din auliya
Khaaja nijaam ud din auliya
Mohe peer paayo
Paayo nijaamuddin auliya
Nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Jab dekho more sang hai e maan rung hai ri
Wo to jab dekho
Are haan haan haan
Woh to jab dekho more sang hai
Yih kyon kahoon kih gham-i zindagi garaan guzra
Yih kyon kahoon kih gham-i zindagi garaan guzra
Yih kyon kahoon kih gham-i zindagi garaan guzra
Yih kyon kahoon kih gham-i zindagi garaan guzra
Woh saath saath rahe main jahaan jahaan guzra
Khaaja nijaam-ud-din auliya
Khaaja nijaam-ud-din auliya
Mohe peer paayo nijaamuddin auliya
Nijaam-ud-din auliya
Nijaam-ud-din auliya
Jab dekho more sang hai e maan rung hai ri
Wo to jab dekho
Are haan haan haan
Wo to jab dekho
Are haan haan haan
Ham men tum aur tum men ham gum ho gaye
Ham men tum
Aur tum men ham
Gum ho gaye
Ham men tum aur tum men ham gum ho gaye
Hote hote
Hote hote
Aik ham tum ho gaye
Woh to jahaan dekho are haan haan haan
Wo to jahaan dekho
More sang hai e maan rung hai ri
Main to aiso rung aur naheen dekhi re
Main to aiso rung aur
Are mahboob-i ilaahi
Main to aiso rung aur
E mahboob-i ilaahi
Des bades men
Des bades men
Dhoondh phiri hoon
Des bades men
Aahe des bades men
Des bades men
Haan des bades men
Des bades men dhoondh phiri hoon
Tora rung man bhaayo
Main tora rung
Tora rung man bhaayo
Khaaja nijaam-ud-din
Tora rung man bhaayo
Peer nijaamuddin
Teri soorat
Teri soorat se kisi ki naheen milti soorat
Teri soorat se
Teri soorat se
Kisi ki
Naheen milti soorat
Teri soorat se kisi kisi kisi ki
Naheen milti soorat
Main jahaan men teri tasweer liye phirta hoon
Haan tora rung man bhaayo
Main tora rung
Tora rung man bhaayo
Main tora rung
Bas tora rung man bhaayo
Main tora rung
Tora rung man bhaayo
Main tora rung rahiyo maan
Haan main to aiso rung.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment