Pakistani dramas have some of the best music . More than films, more than mainstream music, these OSTs are some of the most listened .

Tuesday, July 30, 2019

Jaan-e-Bahaaraan Lyrics - Coke Studio Pakistan - Season 10 (2017)

No comments :

Jaan-e-Bahaaraan Lyrics - Coke Studio Pakistan - Season 10 (2017)


Movie/album: Coke Studio Pakistan - Season 10 (2017)

Singers: Ali Zafar

Song Lyricists: Tanvir Naqvi

Music Composer: Shuja Haider

Music Director: Shuja Haider, Urban Singh

Director: The Coca-Cola Company

Music Label: Coke Studio

Starring: Ali Sethi, Aima Baig, Danyal Zafar, Ali Zafar, Rahat Fateh Ali Khan, Jabar Abbas, Syed Raza Jan Raxa Raju, Momina Mustehsan, Waqar Ehsin, Attaullah Khan Esakhelvi, Sanwal Khan Esakhelvi, Qurat-ul-Ain Balouch, Sahir Ali Bagga, Hina Nasrullah, Ali Hamza (Noori), Nabeel Shaukat Ali, Faraz Anwar, Faiza Mujahid, Ahmed Jahanzeb, Zaw Ali, Sajjad Ali, Nirmal Roy, Umair Jaswal, Farhan Saeed, Akbar Ali, Rachel Viccaji, Shuja Haider, Jaffer Zaidi, Humaira Channa, Mekaal Hasan, Salman Ahmad, Shani Arshad, Arieb Azhar, Ali Noor Noori, Irteassh, Humera Arshad, Kaavish, Amanat Ali, Natasha Khan, Javed Bashir, Shafqat Amanat Ali, Strings

Release on: 11th August, 2017


Jaan-e-Bahaaraan Song Lyrics


Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-e-mann

Jaan-e-bahaaraan rashk-e chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-e-mann
Jaan-e-bahaaraan

Jannat ki hoorein tujh pe fida
Raftaar jaise mauj-e saba
Rangeen-ada tauba-shikan
Ay jaan-e-mann
Jaan-e-bahaaraan

Jaan-e-bahaaraan rashk-e chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Jaan-e-bahaaraan o jaan-e-mann

Jaan-e bahaaran o jaan-e-mann
Nazron ne teri kiya hai sitam
Qaus-e quzah ki yeh rangeeniyaan
Jaadu kiya hai yeh tune sanam

Taubah hai taubah teri ada
Us ki ‘inaayat husn tera
Rangeen-jamaal naazuk-badan
Gul-pairahan sarw-e chaman
Jaan-e-bahaaraan o jaan-e-mann

Sham-e furozaan aankhen teri
Har ik nazar men jaadu-gari
Zulfen teri mushk-e khutan
Ay jaan-e-mann
Jaan-e-bahaaraan

Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa nahi
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-e-mann, ay jaan-e-mann

Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Har ik nazar mein jaadu-gari
Zulfen tiri mushk-e khutan

Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa naheen
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-e-mannay jaan-e-mann..


No comments :

Post a Comment