Pakistani dramas have some of the best music . More than films, more than mainstream music, these OSTs are some of the most listened .

Wednesday, July 17, 2019

Tajdar-E-Haram Lyrics - Coke Studio Pakistan – Season 8 (2015)

1 comment :

Tajdar-E-Haram Lyrics - Coke Studio Pakistan – Season 8 (2015)


Movie/album: Coke Studio Pakistan – Season 8 (2015)

Singers: Atif Aslam, Sabri Brothers

Song Lyricists: N/A

Music Composer: Strings (Band)

Music Director: Strings (Band)

Director: Rohail Hyatt

Music Label: Coke Studio

Release on: 16th August, 2015


Tajdar-E-Haram Song Lyrics


Qismat men meri chain se jeena likh de
Doobe naa kabhi mera safeena likh de
Jannat bhi gawaarah hai magar mere liye
Ay kaatib e taqdeer madeena likh de

Taajdaar e haram ho nigaah e karam
Taajdaar e haram ho nigaah e karam
Ham ghareebon ke din bhi sanwar jaaen ge
Haami ye bekasaan kya kahega jahaan
Haami ye bekasaan kya kahega jahaan
Aap ke dar se khaali agar jaaenge
Taajdaar e haram
Taajdaar e haram

Koyi apna nahin gham ke maare hain ham
Koyi apna nahin gham ke maare hain ham
Aap ke dar pe faryaad laaye hain ham
Ho nigaah e karam warna chaukhat pe ham
Ho nigaah e karam warna chaukhat pe ham
Aap ka naam le le ke mar jaaenge
Taajdaar e haram
Taajdaar e haram

Kya tumse kahoon ay arab ke kunwar
Um jaante ho man ki batiyaan
Dar furqat e to ay ummi laqab
Kaate nah kate hain ab ratiyaan
Tori preet mein sudh budh sab bisri
Kab tak yih rahegi be-khabari
Gaahe ba-figan duzdeedah nazar
Kabhi sun bhi to lo hamri batiyaan
Aap ke dar se koyi na khaali gaya
Aap ke dar se koyi na khaali gaya
Aap ke dar se koyi na khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
O..apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho habeeb e hazeen
Ho habeeb e hazeen par bhi aaqa nazar
Warna auraaq e hasti bikhar jaaenge
Ho habeeb e hazeen par bhi aaqa nazar
Warnah auraaq e hasti bikhar jaaen ge
Taajdar e haram
Taajdar e haram

Mai-kasho aao aao madeene chalein
Madeene chalen,
Madeene chalen, madeene chalen
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Madeene chalen,
Madeene chalen, madeene chalen

Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen

Tajalliyon ki ajab hai faza madeene mein
Tajalliyon ki ajab hai faza madeene mein
Nigaah e shauq ki hai intiha madeene mein
Nigaah e shauq ki hai intiha madeene mein
Gham e hayaat nah khauf e qaza madeene mein
Gham e hayaat nah khauf e qaza madeene mein
Namaaz e ishq karen ge ada madeene mein
Namaaz e ishq karen ge ada madeene mein
Ba-raah e raast hai raah e khuda madeene mein

Aao madeene chalen
Aao madeene chalen
Isi maheene chalen
Aao madeene chalen

Mai-kasho aao aao madeene chalen
Mai-kasho aao aao madeene chalen
Dast e saaqi yi kausar se peene chalen
Dast e saaqi yi kausar se peene chalen

Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar
Yaad rakkho agar

Uth gayi ik nazar
Jitne khaali hain sab jaam bhar jaaenge
Yaad rakkho agar uth gayi ik nazar
Wuh nazar jitne khaali hain
Sab jaam bhar jaaenge
Tajdar e haram
Tajdar e haram

Khauf e toofaan hai bijliyon ka hai dar
Khauf e toofaan hai bijliyon ka hai dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jaaen ham
Aap hi gar na lenge hamaari khabar
Ham museebat ke maare kidhar jaaenge
Aap hi gar na len ge hamaari khabar
Ham museebat ke maare kidhar jaaenge
Taajdar e haram taajdar e haram

Ya mustafa ya mujtaba
Irham lana irham lana
Dast e hamah bechaara ra,
Daamaan tuhi, daamaan to-hi
Man aasiyam man aajiz-am
Man bekasam haal e mara
Pursaan to-yi pursaan to-yi
Ay mushk bed ambar-fishaan
Paik e naseem e subh dam
Ay chaarah gar eesa-nafas
Ay moonis e beemaar e gham
Ay qaasid e farkhundah pah
Tujh ko usi gul ki qasam
In nalti ya reeh as saba
Yauman ila ard il haram
Balligh salaami raudatan
Feeh an nabi yul mohtaram
Taajdaar e haram
Ho nigaah e karam
Taajdaar e haram ho nigaah e karam

Ham gharibon ke din bhi sanwar jaaen ge
Haamiye bekasaan kya kahega jahaan
Haamiye bekasaan kya kahega jahaan
Aap ke dar se khaali agar jaaen ge
Taajdaar e haram taajdaar e haram
Taajdaar e haram…


1 comment :